Tanhaai, tanhaai
Dil ke raaste mein kaisi thokar maine khaayi
Toote khwaab saare, ek maayusi hai chhaayi
Har khushi so gayi, zindagi kho gayi
Tumko jo pyaar kiya maine to sazaa main paayi
Tanhaai, tanhaai, milo hai phaili hui tanhaai – 2
(Khwaab mein dekha tha ek aanchal
Maine apne haathon mein
Ab toote sapnon ke shishe
Chubte hai in aankhon mein) – 2
Kal koi tha yahin, ab koi bhi nahin
Banke naagin jaise hai saanson mein laheraayi
Tanhaai, tanhaai, palkon pe kitne aansu hai laayi – 2
(Kyoon aisi umeed ki maine
Jo aise naakaam hui
Door banaayi thi manzil
To raste mein hi shaam hui) – 2
Ab kahan jaaoon main, kisko samjhaaoon main
Kya maine chaaha tha aur kyoon kismat mein aayi
Tanhaai, tanhaai, jaise andhero ki ho gehraayi
Dil ke raaste mein kaisi thokar maine khaayi
Toote khwaab saare, ek maayusi hai chhaayi
Har khushi so gayi, zindagi kho gayi
Tumko jo pyaar kiya maine to sazaa main paayi
Tanhaai, tanhaai, milo hai phaili hui tanhaai – 2
Tanhaai, tanhaai, tanhaai, tanhaai
1 Comment